Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
In shab-shabe garibi yeh aulad e Mustafa
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
Sar katke Shabbir ka naize pe chadaya.....x2
Ada na har ek khayme ko luta aur Malaya
Zainab ka hain nala ,wa Mohammada ...x2
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
Ghar loot liya aur sar se ridaye bhi utari...x2
Saydaniyon ko zalimon ne seliya mari
Zainab ka hain nala wa Mohammada
Khoon tan se hain behta wa Mohammada
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
Laila yeh pukati karti hain aao Ali Akbar....x2
Na mehramon ka majma hain aur maa hain khule sar
Zainab ka hain nala wa Mohammada
Har dard hain sadma wa Mohammada
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
Hain madar e Qasim ke lab pe yeh duhayi.....x2
Aa jao mere laal nahi waqt guzari
Zainab ka hain nala wa Mohammada
Behal hain kunba wa Mohammada
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
Kaisi hain Lubaba ki khabar kijiye Abbas.....x2
Mar jayegi furkat me Sakina ko nahi yaad
Zainab ka hain nala wa Mohammada
Dushwar hain jeena wa Mohammada
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
Hu dardta hain kanon se tadapti hain Sakina...x2
Bacchi ka kahi khwab se phat jaye na seena
Zainab ka hain nala wa Mohammada
Koi nahi apna wa Mohammada
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha
Jakada hain masaeb me Anees e shahe Abrar ....x2
Hain waqt madad aiye Abbas alamdar
Zainab ka hain nala wa Mohammada
Hain lab pe yeh noha wa Mohammada
Sab qatl ho gaye koi waris nahi raha